اردو हिंदी
Ek sawal | Shaahi Shayari
ek sawal

Nazm

Ek sawal

Ali Sardar Jafri

;

malum nahin zehn ki parwaz ki zad mein
sarsabz umidon ka chaman hai ki nahin hai

lekin ye bata waqt ka bahta hua dhaara
tufan-gar o koh-shikan hai ki nahin hai

sarmae ke simTe hue honTon ka tabassum
mazdur ke chehre ki thakan hai ki nahin

wo zer-e-ufuq subh ki halki si sapedi
Dhalte hue taron ka kafan hai ki nahin hai

peshani-e-aflas se jo phuT rahi hai
uThte hue suraj ki kiran hai ki nahin hai