samundar be-karani ka anokha silsila hai
aasman bhi apne nile-pan se uktaya hua hai
paniyon par chalte chalte
nam hawa ke panw bhi shal ho chuke hain
baadban sone lage hain
sahilon par
aaftabi ghusl karti laDkiyan bhi
lauT kar apne gharon ko ja chuki hain
ret par phaile hue hain
un ke qadmon ke nishan
jismon ki nangi bas
mshrubaat ke bekar Tan
taswir mein aundha paDa hai
zindagi ki sham mein bhiga hua
ek din!
Nazm
Ek sahili din
Naseer Ahmad Nasir