wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par
sare lashkar ek tarah ke hote hain
sare KHanjar ek tarah ke hote hain
ghoDon ki Tapon mein rondi hui raushni
dariya se maqtal tak phaili hui raushni
sare manzar ek tarah ke hote hain
aise har manzar ke baad ek sannaTa chha jata hai
ye sannaTa tabl-o-alam ki dahshat ko kha jata hai
sannaTa fariyaad ki lai hai ehtijaj ka lahja hai
ye koi aaj ki baat nahin hai bahut purana qissa hai
har qisse mein sabr ke tewar ek tarah ke hote hain
wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par
sare lashkar ek tarah ke hote hain
Nazm
Ek ruKH
Iftikhar Arif