ajnabi dost, bahut der mein roya hai tu!
apni aawaz ke sannaTe mein baiThe baiThe
aur aankhon se ubhar aai hai sayyal-e-fughan
apni majburiyan lachaariyan bikhraati hui
reg-e-hasti ke nizamat se jhunjhlati hui
ai udasi ki fazaon ke parinde ye bata
apne anfas ke tarik bayabanon mein
aur tu kya hai zamanon ki siyahi ke siwa,
aur tu kya hai sarabon ki gawahi ke siwa,
raat mein sard sitaron ki jamahi ke siwa
tere chehre ki zamin par jo nami hai ab bhi
dil ki sab bastiyan us mein hi ThiThur jati hain,
apne sahme se kinaron pe thapeDe kha kar
ab bhi duniya ke sisakne ki sada aati hai
ajnabi dost, ai manus muqaddar ke makin
apni aawaz ke sannaTe mein baiThe baiThe
ye bhi kya kam hai ki tu apne jawan ashkon se
apne haalat ke daman ko bhigo sakta hai
us jahan mein ki jahan sukh gaya hai sab kuchh
ye bhi kya kam hai ki tu aaj bhi ro sakta hai!
Nazm
Ek rote hue aadmi ko dekh kar
Riyaz Latif