اردو हिंदी
Ek raushan jawan justuju | Shaahi Shayari
ek raushan jawan justuju

Nazm

Ek raushan jawan justuju

Nahid Qasmi

;

justuju ka niDar qafila
mishalen tham kar, raat ko chirta

hansta gata hua, apni manzil ki jaanib rawana hua
sab ke chehron par raushan huin kawishen

khoji aankhon mein jhilmil sitare jale
kitni raushan faza kitni raushan faza!!

aao apne qadam tez kar len ki wo samne apni mehnat ka pauda tanawar shajar ban gaya
par ye raushan faza mein dhundalka sa kyun chha gaya

(mishalon ko jalae rakho sathiyo, git gate raho, aage baDhte raho)
ek chamkila gosha dikhai nahin de raha, kin andheron ki faujon ka hamla hua

(mishalon ko jalae rakho)
manzilen to qarib aa gain

phir ye qadmon mein beDi si kya!
phir ye aankhon pe baadal se kyun

mishalon ki qataren rukin (aur chalte hue sae bhi tham gae)
git sab tauq-e-gardan hue

qafila daera ban gaya jhuk gaya ro diya
ek manzar sada ke liye gili aankhon mein zinda hua

ek bazu gira
ek mishal bujhi

ek raushan jawan justuju so gai
ek chamkila gosha andhera hua