اردو हिंदी
Ek raat ki kahani | Shaahi Shayari
ek raat ki kahani

Nazm

Ek raat ki kahani

Fahmida Riaz

;

baDi suhani si raat thi wo
hawa mein an-jaani khoi khoi mahak rachi thi

bahaar ki KHush-gawar hiddat se raat gulnar ho rahi thi
rupahle sapne se aasman par sahab ban kar bikhar gae the

aur aisi ek raat ek aangan mein koi laDki khaDi hui thi
KHamosh tanha

wo apni nazuk hasin sochon ke shahr mein kho ke rah gai thi
dhanak ke sab rang us ki aankhon mein bhar gae the

wo aisi hi raat thi ki rahon mein us ki moti bikhar gae the
hazar achhute kunware sapne

nazar mein us ki chamak rahe the
sharir si raat us ko chupke se wo kahani suna rahi thi

ki aaj
wo apni chuDiyon ki khanak se sharmai ja rahi thi