raat phir
ragon mein jaise chyunTiyan si bhar gain
aankhen surKH ho gain
hath phir TaTolne laga
goliyon ki nind
hath phir TaTolne laga
kamre ki khiDki se pare
nanhe nanhe pani ke qatre
hawa mein girte jaen
tab
dil ki ek chingari
shoala ban jati hai
ek chehra phir se dhulta hai
ek surat phir yaad aati hai
Nazm
Ek raat ek subh
Ali Zaheer Lakhnavi