zamane ki maili aankh ne
mujhe dhundla diya
dusron par gaDhte gaDhte
mujhe apni tashwish hui
bahut dinon se bujha paDa tha
jab do dimaghon ki ham-ahangi ne
mujhe raushan aur rawan kar diya
man
main ne KHud ko sahil par machhli ki aankh se dekha
uf! sab kuchh kitna sathi hai!
sahil Dubne se pahle pahle
main apne andar utar gaya
jahan main pahle se maujud tha
main ne KHush-gawar hairat se KHud ko chhua
kahin main koi guzri hui saat to nahin
ye jaan kar tasalli hui
ki ek qadim KHayal ki nigrani mein
main kuchh aur gahra aur chamkila ho gaya hun
aur ye bhi ki
ab main apne aar par bhi dekh sakta hun!!
Nazm
Ek qadim KHayali ki nigrani mein
Anjum Saleemi