kuchh nahin jaanta
kis tarah aa gaya
main hawa ke bhayanak tilismat mein
kokh se jin ki taulid pate hain baalishtiye
roz-o-shab har ghaDi
mujh mein dar aate hain be-ijazat
khuli dekh kar khiDkiyan aur dar
maut aur zindagi un ka ek khel hai
kyunki har ek baalishtiya
maut se qabl jaan saunp jata hai
apne kisi ja-nashin (dusre) ko
dusra tisra
aur phir tisra chauthe baalishtiye ko
is tarah marte jite nirakar baalishtiyon aur un ke
tilismat ka silsila
janm se aaj tak sochta aa raha hun
kitna majbur hun chahta hun
magar in tilismat ka ant main dekh sakta nahin
aur an-dekhe bhi un ka sirr-e-KHafi mujh ko malum hai
in tilismat ka ek qaidi hun main
in se bichhDa to la-raib mar jaunga
ye jo bikhre to main KHud bikhar jaunga
aur phir apna munh khol kar
mujh ko salim nigal jaegi
ek Dain zamin
Nazm
Ek purani nazm
Sadiq