kisi shahr mein ek kafan-chor aaya
jo raaton ko qabron mein suraKH kar ke
tan-e-kushtagan se kafan khinch leta
aaKHir-e-kar pakDa gaya
aur us ko munasib saza ho gai
kuchh hi din baad ek dusra chor warid hua
jo kafan bhi churaata
qabr ko bhi khula chhoD deta
dusra chor bhi rukn-e-insaf ke pas laya gaya
aur mehman-e-zindan hua
phir yakayak kisi tisare chor ka ghul macha
jo kafan bhi churaata
qabr ko bhi khula chhoD deta
aur murda badan ko barahana kisi rah par Dal deta
shahr wale jab use adalat mein lae
to qazi ne us ki saza ko sunate hue
faisla yun likha
KHudawand pahle kafan-chor ko apni rahmat mein rakhna ki wo aadmi KHub tha
Nazm
Ek purani kahani
Zehra Nigaah