mohr-ba-lab viran dariche darwaze sunsan
dur pahaDon ki choTi par shahi goristan
nim ki shaKHon mein uljhi hai kankawwe ki kanp
diwaron par reng raha hai shikastagi ka sanp
saDken rah-giron par Dalen ThanDi sard nigah
sharm-e-uryani se chup hai buDhi shahr-panah
waqt ke qadmon ki aahaT deti hai sunai aise
sannaTe mein bhaTak rahi hon biti sadiyan jaise
ek ek lamha DhunD raha hai khoi hui ranai
dauD raha hai pichhe ko ba-wasf-e-shikasta-pai
rah mein lekin kuchh diwaren aan khaDi hui hain
diwaren jin par nangi sanginen gaDi hui hain
un se sar Takraate lamhon ke ye pagle sae
mamlikat-e-farda ka rasta kaun unhen dikhlae
Nazm
Ek purana shahr
Makhmoor Saeedi