اردو हिंदी
Ek purana KHwab | Shaahi Shayari
ek purana KHwab

Nazm

Ek purana KHwab

Fariha Naqvi

;

bahut qadim sa wo ghar,
bahut bahut qadim sa!

wo pattharon ka ghar koi,
usi ke ek tang se kiwaD mein khaDi hui,

wo kaun thi?
wo kaun thi jo KHwab mein alil thi???

wo jis ke zard jism ka tumhein bahut KHayal tha!
raqib thi miri?

magar bhali bhali lagi mujhe!!
thi us ke zard rang par ghani udasiyon ki rut,

pighal pighal ke gir raha tha us ki aastin pe dukh
meri to ruh KHauf se laraz gai,

nigah chiKHne lagi,
kaun hai, ye kaun hai?

usi ghaDi,
tumhaari ek nigah ne jhuke jhuke ye kah diya,

ye alil hai ki
use mera zara sa dhyan chahiye,

ye jab bhi tandurust ho gai main lauT aaunga
ai zard-ru,

main jaanti nahin tujhe
tu kaun thi, nahin pata

magar teri hayat ki dua meri hayat hai!!
tu tandurust ho ke kab dikhaegi