main un se puchhta hun:
pul kaise banaya jata hai
pul banane wale kahte hain:
tum ne kabhi mohabbat nahin ki
main kahta hun: mohabbat kya chiz hai
wo apne auzar rakhte hue kahte hain:
mohabbat ka matlab jaanna chahte ho
to pahle dariya se milo
ru-e-zamin par dariya se zyaada mohabbat karne wala koi nahin
dariya apne samundar ki taraf bahta rahta hai
ye supurdagi hai
ye supurdagi bachpan hai aur bachpan bahisht
lekin bahisht tak pahunchne ke liye ek jahannam se guzarna paDta hai
main puchhta hun jahannam kya hai?
wo kahte hain: is sawal ka jawab daraKHton ke pas hai
koi bhi mausam ho wo apni jagah nahin chhoDte
unhen miTTi se mohabbat hai
unhen parindon aur chiyunTiyon se mohabbat hai
jo un ke jism mein ghar banati hain
'ghar kya hai?' main puchhta hun?
wo sab hansne lagte hain
pahla mazdur kahta hai:
apni aurat ki taraf jao
har sawal ka jawab mil jaega
Nazm
Ek pul banaya ja raha hai
Sarvat Husain