hujum se bach ke
sune sune KHamosh raston pe chalne wala
wo us zamane mein pa-pyaada musafirat ka amin
rasta badal chuka hai
nazar abas us ka naqsh
manus raston par
talash kar ke chaunkti hai
mujhe KHabar hai wo ja chuka hai
wo ja-ba-ja rah mein ubharti shabih us ki
nigah ki tishnagi ne misl-e-sarab ijad kar rakhi hai
jab aaKHiri bar us ko dekha
to us ka rasta badal chuka tha
har ek tariqa badal chuka tha
hujum se bach ke chalne wala
hujum ke sath chal raha tha
jab aaKHiri bar us ko dekha
to umr bhar ki musafirat ke KHilaf
us ko sawar dekha
aur us ke pahlu mein pa-pyaada hujum ko sogwar dekha
Nazm
Ek paidal chalne wale dost ka nauha
Khursheed Rizvi