jahan ko phir bataenge
samundar bhap ban kar kis tarah uDte hain aankhon se
badan shaq hote hote kis tarah patal bante hain
nafas ke shahr kaise reza reza KHak hote hain
masamon se ubal kar aasman kaise sulagte hain
adam mashrum ban kar kaise KHaliyon se ubharta hai
ki ukhDi irtiqa ki bund mein sarshaar ye putle
hamare do jahanon ka muqaddar sochne wale
inhin baunon ki KHatir lae hain ab hum sukut apna
ki hum KHamosh baiThe hain
ki larzan irtiqa ke ruKH pe parda Dalte hain hum
ki ab bhi ruh se hir o shima khangalte hain hum
Nazm
Ek nuclear nazm
Riyaz Latif