KHizan ki aahaTen sun rahi ho
mera jism bujh raha hai
meri sanson ke phul-patte
murjha rahe hain
main waqt ki shaKH se
na jaane kab TuTun
aur bikhar jaun
meri kitaben baaten taswiren
kisi micro film audio ya wideo cassette par
ya kisi cD mein
mahfuz kar lo
dekho ab bhi waqt hai
magar waqt bahut kam hai
mujhe aaKHiri bar chhu lo
mere KHayal ke sine par sar rakh kar
computer se meri floppy nikal kar
apne balauz ke gareban mein Dal lo
na jaane kab
ye pahaD jangal shahr samundar patal KHala
jinhen main ne ji bhar ke dekha tak nahin
lakiron mein Dhal kar
ghaTte hue daeron
ek aise nuqte mein simaT jaen
jo apne hi markaz ki gahrai mein Dub jae
Nazm
Ek nazm tumhaare nam
Mushaf Iqbal Tausifi