aankhen andhe kuen ki manind dur andhere raston par pani ko khurach rahen hain
gahri dhund ki chadar oDhe kaun abhagan
phuT phuT ke ro bhi na pai
sabr ki roTi chup ka salan sab zaiqon se kaDwa zahr gale ke andar
kund chhuri ki manind aTke
kya bole sare lafz apne lahu ki gardish se be-parwah
lab par utren
muafi ke chhilkon ko utarungi ruhen kuchh na kahengi
dena sab kuchh is ko
wapas kuchh bhi na lena
hath tumhaare sada hi bhar rahenge jazbon ke
phulon se
mat kuchh kahna warna sara malba tumhaare upar aan girega
kachchi diwaron ke nate taswiron ke rangon se bhi kachche
hathon war zabanon par guzri baaton ke sare sukh ek ek kar ke miTte jate hain
man ki sari shakti bich samundar Dub gai hai
hawa mein aansu gas ke gole chhuTen to sab rona ek hi waqt mein rolen
tyag ka lamba rasta ba nahin phailae apni or bulata hai
aage jao sab kuchh suno
aao is aawaz ke raste par chalte jaen
diwar dur se dur
Nazm
Ek nazm
Shaista Habeeb