wo aati hai
roz mere bahut qarib
mujhe sahlati hai
gudgudati hai
uTho uTho
main hairat aur KHushi se
use dekhti hun
tum kab aain?
abhi abhi to aai hun
wo mere sine par apna sar rakh deti hai
mere pistanon se khelti hai
mere honTon ko chusti hai
meri naf ke niche
bahut niche
meri sans upar ki upar rah jati hai
main kunwariyon ki tarah
tilmilati hun
bal khati hun
wo mujhe uThati hai
mere kapDe ek ek kar ke utarti hai
wo meri aankhon mein aankhen Dal kar
hansti hai
uTTho
main baDbaDati rahti hun
aisi hi be-sudh
hairat se aur KHushi se
uTTho
wo meri gardan mein banhen Dal kar
kahti hai
wo mujhe dur se dekhti hai
aur canwas par meri madar-zad
taswir banati hai
main be-sudh paDi rahti hun
is Dar se ki kahin wo chali na jae
main use Dubona chahti hun
ek hi war par us par chaDh dauDna
us par bilbila kar hamla karna
main bhi chahti hun use aise hi
apni giraft mein le aaun
lekin is se pahle ki
main harakat karun
wo chham-chham karti
khiDki ya darwaze se bahar
bhag jati hai
main be-sudh
hairat aur KHauf se
aur malamat se
aankhen phaDe use dekhti
rahti hun
wo chali jati hai
roz aisa hi hota hai
Nazm
Ek nazm roz aati hai
Azra Abbas