hazar jhilmilate paikar
riste pani mein aaDi-tirchhi
jhamakti bauchhaar ban gae
har ek diwar aur dar se
shajar shajar se
nikal nikal kar
khuli saDak par
lahakte gate
qadam qadam par diye jalate
hasin nazmon mein Dhal raha hai
na jaane kya ho
agar ye aalam tamam apna naqab ulaT de
na jaane kya ho jo sare asrar khul chuke hon
yahi bahut hai
kabhi kabhi jhilmilate paikar
uTha ke ghunghaT jhalak dikha den
Nazm
Ek nazm
Qazi Saleem