raat ke KHwabon ka ek turfa saman hota hai
subh ke gunjte aawaze se chaunk uThta hun
sans leta hun bahar-kaif guman hota hai
ungliyan pherta hun apne badan par ab to
karwan hosh ka yaadon ka rawan hota hai
ye naya din hai magar waqt kahan Thahra hai
samne khunTi se laTka hai mera garm libas
jis pe KHud-saKHta pabandiyon ka pahra hai
jin ke sae mein abhi mujh ko rawan hona hai
meri tahzib ka har zaKHm bahut gahra hai
aur bhi jagne wale hain KHayal aate hain
sochta hun meri surat kahin wo bhi uTh kar
dard sahte hain kabhi dard ko sahlate hain
jaane kis jurm ki padash mein yun ghulta hun
log to warna isi baat pe itraate hain
dur be-dhyani mein ghaDiyal sada deta hai
zehan dil jism har ek chiz chamak uThti hai
mar kar koDe koi jaise uTha deta hai
Dar ke sab bhagte hain kheton ko maidanon ko
waqt bhaTke huon ko rah pe laga deta hai
lahlahate hue gandum ke sajile paudo
muskuraate hue kheton ke muhafiz peDo
jhumti Tahniyon ko wajd mein late patto
mujh ko qudrat do ki main tum ko sarahun chahun
shahr ke sehr ko toDun tumhein palun dekhun
Nazm
Ek nazm
Qayyum Nazar