hawa chali hawa chali
ghane tawil jangalon ko nind se jaga chali
ada-e-KHamushi ko gudguda chali
KHizan ki zard sej se kisi ki yaad
aankhen malti uTh khaDi
charagh-e-dard le ke sard hath par
bhaTak ke pat pat par
thaki thaki se raushni luTa chali
main ajnabi hun jis ke sar pe dhup ka kaDa sira
gira hun rah bhul kar
gae zamane ke muhib kunD mein
phansa paDa hun panchhiyon pashuon ke pyase jhunD mein
ye bebasi to kha chali
bisat-e-dil pe naqsha-e-shikast-dam bichha chali
magar wo mand mand muskuraati maut
bhar ke jam-e-zindagi
mujhe na ab pilaegi
ki aaj us ki yaad bhi
chahaar samt duriyon ki tirgi saja chali
har ek nishan miTa chali
hawa chali
Nazm
Ek nazm
Nazeer Ahmad Naji