gum-shuda KHwab shab-e-rafta ke raushan mahtab
aaj ki raat sar-e-baam utar aae hain
gum-shuda chehre mere mazi ke zarrin auraq
ek ek kar ke sar-e-am khule jate hain
mujh se kuchh kahti hain KHamosh nigahen un ki
un ki aankhon mein abhi tak hai wafa ki tanwir
un ke mathe pe abhi tak hai wahi tabani
in ke pairon mein nahin umr-e-rawan ki zanjir
un se duniya ko badalne ki qasam khai thi
un se ab aankh milate hue sharm aati hai
Nazm
Ek nazm
Mahmood Ayaz