ise wahi jaanta hai
jis ne ek bachcha jana ho
ya use janm dene se
pahle baha diya ho
donon dukh ek hi hain
jaise tumhein
garm garm jalte hue lohe se
dagha ja raha ho
ya tumhaare jism ko
guda ja raha ho
ek sire se dusre sire tak
andhere aur sannaTe mein
darwaza ho na koi shigaf
ki aawaz bahar ja sake
bas jaise
ek kund chhuri jo tumhaare hi hathon
tumhaari gardan kaT rahi ho
aur is lazzat-amez KHud-aziyyati mein
tum KHud ko halkan hote hue
dekh rahe ho
lamha-ba-lamha
ek wajud ko
dusre se bahar dhakelna
bahar aaludgiyon ke Dher par
dhire dhire
koi nam dene ke liye
Nazm
Ek nazm likhna mushkil hai
Azra Abbas