riwayaton ka libas pahne
guzishtagan ka nisab thame
taraaziyat ke nigar-KHanon mein bain karti
ghuTan-zada qafiyon radifon ke darmiyan
muntashir KHayalon ke bojh apne dil-e-hazin par
uThae phirti hui ikai
wufur-e-taKHliq se pareshan
qadam qadam fard fard hoti bikhar rahi hai
usi ke juz hain
jo is pe hawi hue to aise
ki aap apni alag hi duniya basa rahe hain
ajib duniya
jo kahkashan se alag khaDi hai
jo apne mehwar pe dam-ba-KHud hai
magar wo aazurda kahkashan
gardishon se laDti
kai zamane guzar aai
mukalme se mukashfe tak
mushahide se muamle tak
kai safar the kai paDaw
jahan wo diwana-war phirti rahi
KHalish kam hui na unwan hi ban saka
aur KHayal tashkil ke marahil mein gum raha

Nazm
Ek nazm ki ghazal kahen jise
Salman Sarwat