ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai
juton ki joDi se
ya qabr se jo barish mein baiTh gai
ya us phul se jo qabr ki paini par khila
har ek ko kahin na kahin panah mil gai
chintiyon ko ja-e-namaz ke niche
aur laDkiyon ko meri aawaz mein
murda bail ki khopaDi mein gilahri ne ghar bana liya hai
nazm ka bhi ek ghar hoga
kisi jila-watan ka dil ya intizar karti hui aankhen
ek pahiya hai jo banane wale se adhura rah gaya hai
ise ek nazm mukammal kar sakti hai
ek gunjta hua aasman nazm ke liye kafi hota hai
lekin ye ek nashta-dan mein ba-asani sama sakti hai
phul aansu aur ghanTiyan is mein piroi ja sakti hain
ise andhere mein gaya ja sakta hai
tyauhaaron ki dhup mein sukhaya ja sakta hai
tum ise dekh sakti ho
KHali bartanon KHali qabzon aur KHali gahwaron mein
tum ise sun sakti ho
hath-gaDiyon aur janazon ke sath chalte hue
tum ise chum sakti ho
bandar-gahon ki bhiD mein
tum ise gundh sakti ho
patthar ki mand mein
tum ise uga sakti ho
podine ki kiyariyon mein
ek nazm
kisi bhi raat se tarik nahin ki ja sakti
kisi talwar se kaTi nahin ja sakti
kisi diwar mein qaid nahin ki ja sakti
ek nazm
kahin bhi sath chhoD sakti hai
baadal ki tarah
hawa ki tarah
raste ki tarah
bap ke hath ki tarah
Nazm
Ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai
Sarvat Husain