اردو हिंदी
Ek nazm | Shaahi Shayari
ek nazm

Nazm

Ek nazm

Jilani Kamran

;

kabhi agar tum zamin se guzro zamin jo hum sab ki saltanat hai
to jis taraf ek kali ke mohre pe chandni apna nam KHud hai

wahan zara der ke liye apni umar ki raft-o-bud roko
zamin ko lamhon ki baadshahat mein dekhna chaho

is tariqe se aarzuon ke sath dekho
ki jis tarah log apne mahbub ke badan ko

wafat ke waqt dekhte hain
main kuchh nahin apne git ka apni maut ka nama-bar hun

aksar zamin ki qismat mein jitni zardi hai wo hun lekin hazar qimat
wo shai hun jis ki inayaton se kabhi sitare zamin pe raushan hain

gah dil mein bahaar aur us ke KHair-maqdam ka majra hain
isi liye jab kabhi tumhaara guzar ho aur din ke nek suraj

KHud apne mausam ki baadshahat hon, to jahan aansuon ke chashme
firaq ki os hain wahan apni chap ke sath

mere sae ki raushni mein kabhi mera zikr karna chaho
to KHud ko samjho main KHud hun aur tum mere hi mausam ka abr ho

abr jo zamin hi ki milkiyat ka
ghubar bhi bahr bhi hai rahmat ka abr bhi hai

KHamoshiyan mere sath sari bahaar ka moajaza hain
saya jahan guzishta kai dinon se taDap raha hai

wahan purani zamin ne kaliyon ka taj phenka hai
aur duniya kai mahinon ke baad yun KHushnuma hai jaise

mera muqaddar teri tamanna se KHushnuma hai