zamin shoale ugal rahi hai
faza se tezab gir raha hai
zamin agni pe loTti hai
hawaen chehra bigaDti hain
suna to tha
aaj dekhte hain
yahan hawaen hain nar-sirat
azal se le kar abad talak be-qarar hongi
hamari ruhen
janm janm tak
bhaTak bhaTak kar
fana fana be-karan tabahi ka nam le kar
na peD honge
na qumriyon ke surile naghme
shiwalika par na koi jogi
sada-e-jashn-e-bahaar dega
koi qalandar na koi rumi
nae suron ki talash karne
kisi niystan mein ja rukega
Nazm
Ek nazm jangalon ke nam
Farooq Nazki