tum mujhe pahan sakte ho
ki main ne apne aap ko
dhule hue kapDe ki tarah
kai dafa nichoDa hai
kai dafa sukhaya hai
tum mujhe chaba sakte ho
ki main chusne wali goli ki tarah
apni miThas ki tah ghula chuki hun
tum mujhe rula sakte ho
ki main ne apne aap ko qatl kar ke
apne KHun ko pani pani kar ke
aankhon mein jhil bana li hai
tum mujhe bhun sakte ho
ki meri boTi boTi
taDap taDap kar
zindagi ki har sans ko
alwidaa kah chuki hai
tum mujhe masal sakte ho
ki roTi sukhne se pahle
KHasta ho kar bhurnhuri ho jati hai
tum mujhe tawiz ki tarah
ghol kar pi jao
to main kalisaon mein bajti ghanTiyon mein
isi tarah tulua hoti rahungi
jaise gul-e-aftab
Nazm
Ek nazm ijazaton ke liye
Kishwar Naheed