suno hum daraKHton se phal toDte waqt
un ke liye matami dhun bajate nahin
suno pyar ke qahqahon
aur boson ke masum lamhon mein hum
aansuon ke diyon ko jalate nahin
aur tum lams boson
sulagti hui garm sanson mein
aansu milane pe kyun tul gai ho
suno aansuon ka muqaddar
tumhaara muqaddar nahin
tum abhi mausamon se pare
apni rudad ke silsilon se pare
dur tak jaogi
kaamran jaogi
tum na jaane kahan meri parwaz se
meri raftar se meri har baat se
aur bhi dur tak jaogi
main kahin rah mein KHak ho jaunga
aansuon ko bacha kar rakho
un ka bhi ek samay aaega
Nazm
Ek nazm
Fazl Tabish