har-chand hai zauq-e-kaamrani
hangama-e-zindagi ka bais
har-chand hai aagahi ki zad mein
ye husn-e-gul-o-mah-o-sitara
har-chand har aarzu ka dhaara
gum dasht-e-sarab mein hua hai
anjam-e-amal hai sargirani
ek ashk-e-alam hai zindagani
lekin na rahe agar jahan mein
takmil-e-hunar ki koi surat
duniya mein ki be-KHayal sahil
tufan hai hayat ki rawani
manzil to nahin hai koi manzil
taham ye safar ka barg-o-saman
ye rang-e-nishat-e-kar-dani
har gam umid-e-kaamrani
arbab-e-murad ka sila hai
gar ye bhi na ho to aur kya hai
Nazm
Ek nazm
Aslam Ansari