kis tasawwur ke raqs mein go
teri sada ka wajud mujh ko mila nahin hai
kisi kitab-e-kuhan mein chalti azim danish ke naqsh-e-pa mein
tere badan ka nishan mujh ko mila nahin hai
main chaar samton se puchhta hun
anasiron ke taghayyuron se
mein saltanat ke najumiyon se
ye puchhta hun
ki kaun hai tu
jo mere KHwabon ke silsile mein
mere tafakkur ke raston mein
nae tanazon ka bij bo kar chali gai hai
kahan ki mujh ko pata nahin hai
zamin ke naqshe pe aabnao ke sath chal kar
kabhi sada se bhi tez chalte jahaz ke daere dariche se sar laga kar
mein arghawani sharab thame
dabiz shishon ki durbin se
nigah ki aaKHiri hadon tak tere tasawwur ko dekhta tha
magar KHala ke siwa kahin kuchh nazar na aaya
ye sochta hun ki main tasawwur ke aaine mein
salis baaton ke pairahan mein
tujhe utarun to kis tarah main
jo zindagi ke tazad mein hai
jo aarzu ke fasad mein hai
jo teri KHatir tamam duniya ki ishraton se farar ho kar
nae tamaddun ke zaiche mein
nai alamat ke daere mein tere qadam ke nuzul ko phir
talash karne ki kashmakash se guzar raha hai
charagh jis ke dimagh ka
ek muraqabat mein sulag raha hai
Nazm
Ek nazm
Anees Nagi