rafta rafta sab aawazen
jo dil ke andar hain
aur bahar
ek aise sakte mein kho jaengi
jis ka mafhum abhi tak
kisi ishaat-ghar ke harfon mein Dhala nahin hai
aasar-e-qadima ke mahir
madfun purane shahr ke andar bahar se khod chuke hain
lekin us ka mafhum abhi tak
kisi imarat ki shah-gardish ki mehrabon mein
aur kisi chaar aaine ke riste ghaw mein mila nahin hai
jis ko is ka raaz mile wo hasb-zel pate par pahuncha de:
'anis-nagi', lahore
Nazm
Ek nazm
Anees Nagi