main sard-mehr zindagi se kya talab karun
talab to ek bahr hai
zindagi to sans ki lapakti ek lahar hai
jo aa ke phir guzar gai
chand sal us ke naqsh-e-pa
yahin kahin kisi ke zehn mein rahe
main dekhta hun
shaKH-e-umr zard mausamon ki dhup mein
isi KHayal-e-KHam mein
ki waqt ghaDi ki qaid mein hai
barg barg jhuk gai hai
zindagi ne kya diya mujhe
tarah tarah ke aarize dimagh ka buKHar
iKHtilal aur hawas ke shuur ka malal
raat ko main jagta rahun
tamam din baqa ki aarzu mein afsaron ke KHauf se
nashist-gah-e-intizar mein bahut hi phiki muskurahaTon ke sath
faisle ke intizar mein lahu ki gardishon ke sath
zat ki azim saltanat ko aag mein lipTa dekhta rahun
ye cigareton ka nil-gun dhuan ghubar hi ghubar
bhagta sawar asp ka sunahri nal raste mein chhoD kar kidhar gaya
ye shor ab kidhar se aa raha hai
ghaur se suno
nahin ye kuchh nahin
main intizar ki tawil saaton mein naKHunon se mez ko baja raha hun
par wo kaghazon mein gharq hai
bahut qadim raat ibtida se intiha ke la-zawal bahr mein utar gaya hun
sare din ke gham ko main
nashe ki ek rida mein Dhanp dun
magar nasha haram jurm hai
to phir palaT ke main KHayal mein muqim ishraton ko aainon mein dekh lun
laziz thartharaate jism
Dhol ki dhamak pe lahar lahar khil rahe hain
al-aman muharramat
main sard-mehr zindagi se kya talab karun
ki wo bhi KHud asir hai
Nazm
Ek nazm
Anees Nagi