main
hayat-e-muhmal ki justuju mein
safar zamane ka kar chuka hun
main ek juari ki tarah sari bisat apni luTa chuka hun
main aadmi ke azim KHwabon ki saltanat bhi ganwa chuka hun
na jeb raKHt-e-safar ka tohfa liye hue hai
na zehn mera kisi tasawwur ka dukh uThane
kisi mohabbat ka bojh sahne ke waste iKHtilal mein hai
main fateh ki tarah chala tha
jo raste mein mile mujhe
wo tegh meri se kaT gae the
main zairon ke libas mein
qarz KHun-baha ka utarne, sar munDa ke yunhi nikal gaya tha
ki lauT aaunga
ek din
phir bataunga main hayat-e-muhmal ka raaz kya hai?
ye KHwab hai ya KHayal hai?
main hayat-e-muhmal ki justuju mein
safar zamane ka kar chuka hun
main be-nawa be-giyah aur be-samar shajar hun
jo sau zamanon ki dhul mein be-basar bhikari ki tarah
apni hi aastin mein laraz raha hai!
Nazm
Ek nazm
Anees Nagi