ek bar aur zara dekh idhar
apne jalwon ko bikhar jaane de
ruh mein meri utar jaane de
muskuraati hui nazron ka fusun
ye hasin lab ye daraKHshanda jabin
abhi bebak nahin
aur aane de unhen meri nigahon ke qarin
Dal phir meri jawan-KHez tamannaon par
be-muhaba sa basi nazar
ek bar aur zara dekh idhar
han wahi ek nazar
ghair-fani si nazar
jis ki aaghosh mein raqsinda hai
abadi kaif ki duniya-e-jamil
jis mein tariki aalam nahin
kahish gardish-e-ayyam nahin
mahw ho jate hain jis se yaksar
yaad-e-mazi ki KHalish
kawish-e-farda ka asar
han wahin ek nazar
ek bar aur zara dekh idhar
Nazm
Ek nazar
Sufi Tabassum