zindagi lafz hai
maut bhi lafz hai
zindagi ki tarashi hui awwalin saut se sarhad-e-maut tak lafz hi lafz hain
sans bhi lafz hai
sans lene ki har ek zarurat bhi lafzon ki muhtaj hai
aag pani hawa KHak sab lafz hain
aankh chehra jabin hath lab lafz hain
subh-o-sham-o-shafaq roz-o-shab lafz hain
waqt bhi lafz hai
waqt ka saz-o-ahang bhi
rang bhi sang bhi
amn bhi jang bhi
lafz hi lafz hain
phul bhi lafz hai
dhul bhi lafz hai
lafz qatil bhi hai
lafz maqtul bhi
lafz hi KHun-baha
lafz dast-e-dua
lafz arz-o-sama
subh-e-fasl-e-bahaaran bhi ek lafz hai
sham-e-hijr-e-nigaran bhi ek lafz hai
raunaq-e-bazm-e-yaran bhi ek lafz hai
mahfil-e-dil-figaran bhi ek lafz hai
main bhi ek lafz hun
tu bhi ek lafz hai
aa ki lafzon ki surat fazaon mein mil kar bikhar jaen hum
ek naya lafz taKHliq kar jaen hum
aa ki mar jaen hum
Nazm
Ek nae lafz ki taKHliq
Mohsin Naqvi