mere baatin mein
sad-ha rang ke mausam
kai manzar, ruten, tufan,
pal pal pal rahe hain
aur apni maut marte ja rahe hain
kabhi aisa bhi hota hai
ki ek mausam, koi manzar, koi rut ya koi tufan
tasalsul ki kaDi se TuT kar
ek lamha rukta hai
zara sa munjamid hota hai
aur ek nazm hoti hai

Nazm
Ek munjamid lamha
Rashid Jamaal Farooqi