tum ek mujassama
jo fankar ki ungliyon mein
parwan nahin chaDha
tum ek mujassama
jis par sang-e-marmar
narm paD gaya
main un ungliyon ka dukh
jo tumhein KHalq karne ke
wajd se nahin guzra
aur us dil ka
jo khil nahin saka
tumhaari poron ke sath sath
tum aati jati sansen
main
dukh un sanson ka
jo tum mein shamil nahin huin
dukh un aankhon ka
ki jab khul rahe the
tumhaari gawah nahin rahen
tum ek phul
apni zat se khila hua
main dukh
tumhaare badan se zat tak
na-rasa raston ka
un ke faslon ka
main dukh apne chehre ka
jis ne apne chehre ka
jis ne apni tamam shiknen
tum par narm kar den
dil ke us KHala ka
jo tumhein dekh kar
aasman jitna ho gaya
main dukh apne KHwab ka
tum ne jis ki mazduri nahin di
main dukh apne KHwab ka
jo tumhaare badan par pura ho gaya

Nazm
Ek mujassame ki ziyarat
Syed Kashif Raza