اردو हिंदी
Ek mujarrab nusKHa | Shaahi Shayari
ek mujarrab nusKHa

Nazm

Ek mujarrab nusKHa

Shaukat Abidi

;

aap ko mera mamnun-e-ehsan hona chahiye
ki mein aap ke liye ek aisa mujarrab nusKHa tajwiz kar raha hun

jo aap ki zindagi mein ek KHush-gawar inqalab barpa kar sakta hai
ain-mumkin hai mere tajwiz-karda nusKHe ko

tabaati aur barqi zara-e-iblagh ke idare
apne KHilaf ek karobari sazishen samjhen

aur mujh par harjaane ka dawa karen
maherin-e-iblagh-e-amma, sahafi, danish-war, ciwil-societiyon ke numainde

aur awamunnas mujhe ahmaq qarar den
ye sare muwaqqe radd-e-amal

mujhe apna tajwiz-karda nusKHa pesh karne se baz nahin rakh sakte
mere tajwiz-karda nusKHe ke mutabiq

apni zindagi ko pur-sukun aur KHush-gawar banane ke liye aap ko
aKHbaraat o rasael, maqbul-e-awam TV-channels aur haalat-e-hazira par programme pesh karne wale

bil-KHusus sansani-KHez breaking-news aur siyasi talk-shows ke zarie
haqaeq ko jaanne ka haq tark karna hoga

tin mah ke ibtidai parhez se hi