bahut dur
shahr se bahar
shayad kisi aur shahr mein
ek kamra hai
us ki sari khiDkiyan
subh se khuli hui hain
koi nahin hai jo unhen band kar de
ya us gard ko saf kar de
jo diwar par lage portrait ko
dhundla kar rahi hai
hawa ne guzarte hue
kaghazon ko pila kar diya
lohe ki kursi par baiTh ke
ab koi kisi ko yaad nahin karta
raat gae sunai dene wali
train ki aawaz nahin sunta
shayad jate jate mez par
kisi ne dictionary ko khol kar rakh diya hai
sare lafzon ko kamre mein bikher diya hai
bahut jald ye bhi chale jaenge
kamre mein aati jati chiDiya ke sath
ab wahan sirf chiDiya hai
ek manzar ki KHamoshi ko
kabhi kabhi KHatm karne
ya hamesha baqi rakhne ke liye
Nazm
Ek manzar ki KHamoshi
Zeeshan Sahil