main waqt ke KHeme se nikla
to uljhanon ki chilchilati dhup mein
zist mujh se lipaT paDi
aur suljhanon ka safar mere talwon par likh diya
inkar se na-ashna
main ne panw par safar bandh liya
ab aasman jaisa ek hasin manzar bana kar
mujhe safed parindon ke hawale karna hai
dil ki zamin se nafrat ki jaDen kaT kar
wafa-parwar jazbe kasht kar ke
dhaDkanon ko ek nai tartib mein Dhaalna hai
be-rahm saaton ko
mehrban lamhon ki dastan sunani hai
andheron ko raushni ke ghilaf mein band karna hai
an-ginat tarik aaankhon mein
dhanak rangon se zindagi ki taswir banani hai
tasir ko apne lahje mein panah de kar
aasman tak duaon ka rasta khojna hai
harf-ashnai se apna muqaddar aasmanon par likh kar
band muTThi mein chinghaDte sukut aur andar bhari chiKH ko
gum-nami ke jaziron mein dafn karna hai
aasman jaise is hasin manzar ko taKHliq kar ke
zamin ko aasman banana hai
Nazm
Ek manzar aasman jaisa
Muneer Ahmad Firdaus