اردو हिंदी
Ek mansube mein dar-pesh dushwariyan | Shaahi Shayari
ek mansube mein dar-pesh dushwariyan

Nazm

Ek mansube mein dar-pesh dushwariyan

Anwar Sen Roy

;

main raushni mein itni ghalatiyan karta hun
jitni log andhere mein nahin karte honge

main in dinon ek mansuba tayyar karne mein masruf hun
har tarah ki nakaamiyon se pak mansuba

taki jaise hi mauqa mile
mein KHud ko qatl kar dun

mujhe aise chaurahe ka bhi intiKHab karna hai
jis ke ain-wast mein

lash ko is tarah laTkana mumkin ho
ki us ka nazzara kiya ja sake chaaron aur se

sangsari ke hamiyon ko KHususi dawat di jaegi
KHas taur par qaribi doston ko

tum bhi patthar hi barsana
meri lash bardasht nahin kar sakegi

phul ki zarb
lekin main kya karun

main raushni mein bhi itni ghalatiyan karta hun
jitni log andhere mein nahin karte honge