alfazon ka ek KHazana mere pas
aur KHwabon ki ek piTari tere pas
main tere KHwabon ka koi nam dharun
tum mere lafzon mein
KHwab piro dena
taki hum is len-den mein
bhul saken
tanhai mein chupke chupke ro dena
main ne tere ek KHwab ko bachpan likha
jis mein tum ne KHud ko
baDhiya paya tha
aur koi tum se bhi ek do
sal baDa
chand batashe teri KHatir laya tha
main ne ek KHwab ko likha jawani
jis mein tum ek tin sal ki bachchi thi
jism zehn se kachchi thi
sachchi thi
TheTh jhuT ki jeTh jhuT ki
sikhar do-pahri
jism zehn ko duniya puKHta karti hai
pata hai mujh ko nind mein teri
ab tak milon
nannhi bachchi Thumak Thumak kar chalti hai
phir aata hai ek mahina nazmon ka
nak kan ko bedhne wali
rasmon ka
aur buDhapa yahan se shurua
nahin hota
Nazm
Ek mahina nazmon ka
Irshad Kamil