lamha
dil ke bahut pas se
guzra hua sirf ek lamha
baha le gaya hai
jaane kitne KHwabon KHwahishon aur mansubon ko
bacha hai
haDDiyon tak dhansa hua sannaTa
rukti hui sansen
Dubti hui nabz
aur sard hua jism
phir koi tez hawa ka jhonka
Dher sari gaD-maD aawazen
chiKH hansi aur muskurahaT
ghar daftar biwi bachche
aur aainda bis barson ka mansuba
bhagti hui aaDi tirchhi taswiren
ek ke baad dusre be-rabt manazir
aur phir
Thahar gaya hai guzre hue lamhe ka saya
Dara-Dara sahma-sahma dil
aur thar-thar kanpta hua jism
Nazm
Ek lamha
Shahid Mahuli