اردو हिंदी
Ek lamha! | Shaahi Shayari
ek lamha!

Nazm

Ek lamha!

Kaifi Azmi

;

zindagi nam hai kuchh lamhon ka
aur un mein bhi wahi ek lamha

jis mein do bolti aankhen
chae ki pyali se jab uTThin

to dil mein Dubin
Dub ke dil mein kahin

aaj tum kuchh na kaho
aaj main kuchh na kahun

bas yunhi baiThe raho
hath mein hath liye

gham ki saughat liye
garmi-e-jazbaat liye

kaun jaane ki usi lamhe mein
dur parbat pe kahin

barf pighalne hi lage