wadi ki sab se lambi laDki ke jism ke sab masamon se
resham se zyaada mulaem aur narm KHamoshi mein
ghanTiyon ki aawazen aa rahi thin
barkha ki us nam-zada raat mein
jab us ke jism pe qaus-e-quzah chamki
to ghanTiyan tez tez bajne lagin
mere kanon mein aahaTen aa rahi thin
dhund se bhi narm aur mulaem baadalon ki dabe panw aahaTen
wo jab resham ke kachche taron se bani hui
raat ke farsh par leTi
to qaus-e-quzah aur bhi shoKH aur garm rangon mein Dhalne lagi
wo sainkaDon rangon se murattab-shuda laDki
raat gae tak garm rangon mein pighalti gai
subh hone par suraj ki pahli kiran
rauzan se kamre mein daKHil hui
to us ke jism se
raat ki KHwabida ghanTiyon ki aawazen sun kar
aur us ke jism pe soe hue garm rangon ko dekh kar
ek dam sharma gai
wadi ki sab se lambi laDki
dhund se bhi narm aur resham se mulaem
Nazm
Ek lambi kafir laDki
Tabassum Kashmiri