kaisa saKHt tufan tha
kitni tez barish thi
aur main aise mausam mein
jaane kyun bhaTakti thi
wo saDak ke us jaanib
raushni ke khambe se!
sar lagae istada
aane wale gahak ke
intizar mein gum thi!
KHal-o-KHad ki aaraish
bah rahi thi barish mein
tir nok-e-mizhgan ke
mil gae the miTTi mein
gesuon ki KHush-rangi
uD rahi thi jhonkon mein
main ne dil mein ye socha
aab o baad ka rela!
us ko rakh kar dega
ye saja bana chehra!
kya Darawna hoga
phir bhi us ko le jaana
aane wale gahak ka
apna hausla hoga
barishon ne jab us ka
rang-o-rup dho Dala
main ne Darte Darte phir
us ko ghaur se dekha
sidha-sada chehra tha
bhola-bhaala naqsha tha
rang-e-kam-sini jis par
kaise dhul ke aaya tha
zard phul sa patta
gesuon mein uljha tha
shabnami sa ek qatra
aankh par larazta tha
rakh ki jagah us ja
ek diya sa julta tha
mujh ko yun laga aise!
jaise meri beTi ho
meri naz ki pali
meri kokh-jai ho
Dal se bandha jhula
taq mein saji guDiyan
ghar mein chhoD aai ho
tez tez chalne par
main ne us ko Toka ho
hath tham lene par!
mera us ka jhagDa ho
kho gai ho mele mein
bah gai ho rele mein
aur phir andhere mein
apne ghar ka darwaza
KHud na dekh pai ho!
dafatan ye dil chaha
us ko god mein bhar lun
le ke bhag jaun main
hath joD lun us ke
chum lun ye peshani!
aur use manaun main
phir se apne aanchal ka
ghonsla banaun main
aur use chhupaun main
Nazm
Ek laDki
Zehra Nigaah