guzishta shab mainn ne ek KHwab dekha
khula apne ghar ka har ek bab dekha
KHwabon mein hi khul gai nind meri
baghal mein khaDa ek mahtab dekha
munawwar bahut tha bahut hi kashish thi
ajab us mein rangat ajab tab dekha
phir khuli aankh meri to kuchh bhi nahin tha
main tanha tha lekin main tanha nahin tha
tasawwur mein tha par tha sath us ka
rakkha tha kabhi nam mahtab jis ka
KHwabon-KHayalon se bahar to aao
chali aao jaanan chali ab to aao
Nazm
Ek KHwab
Tauqeer Ahmad