ek KHwahish thi
kabhi aisa ho
kabhi aisa ho ki andhere mein
(jab dil wahshat karta ho bahut
jab gham shiddat karta ho bahut)
koi tir chale
koi tir chale jo taraazu ho mere sine mein
ek KHwahish thi
kabhi aisa ho
kabhi aisa ho ki andhere mein
(jab ninden kam hoti hon bahut
jab aankhen nam hoti hon bahut)
sar-e-aina koi shama jale
koi shama jale aur bujh jae magar aks rahe aaine mein
ek KHwahish thi
wo KHwahish puri ho bhi chuki
dil jaise derina dushman ki sazish puri ho bhi chuki
aur ab yun hai
jine aur jite rahne ke bich ek KHwab ki
duri hai
wo duri KHatm nahin hoti
aur ye duri sab KHwab dekhne walon ki majburi hai
majburi KHatm nahin hoti
Nazm
Ek KHwab ki duri par
Iftikhar Arif