kahin suna hai
gae zamanon mein
log jab qafilon ki surat
masafaton ko ubur karte
to qafile mein ek aisa hamrah sath hota
ki jo safar mein
tamam logon ke pichhe chalta
aur us ke zimme ye kaam hota
ki aage jate musafiron se
agar koi chiz gir gai ho
jo koi shai pichhe rah gai ho
to wo musafir
tamam chizon ko chunta jae
aur aane wale kisi paDaw mein sari chizen
tamam aise musafiron ke hawale kar de
ki jo manazil ki chah dil mein liye shitabi se
apne raste to paT aae
par apni ujlat mein kitni chizen
gira bhi aae ganwa bhi aae
main sochta hun
ki zindagani ke is safar mein
mujhe bhi aisa hi koi kirdar mil gaya hai
ki mere ham-rah jo bhi ahbab the
manazil ki chah dil mein liye shitabi se
raston par bahut hi aage nikal gae hain
main sab se pichhe hun is safar mein
so dekhta hun ki raste mein
wafa murawwat KHulus-o-isar mehr-o-ulfat
aur is tarah ki bahut si chizen
jagah jagah par paDi hui hain
main apne KHud-saKHta usulon ki
zard gaThri mein sari chizen sameTta hun
aur apne ehsas ke jilau mein
har ek paDaw pa jaane walon ko DhunDta hon
par aisa lagta hai
jaise mere tamam ahbab manzilon ko gale lagane
bahut hi aage nikal gae hain
ya main hi shayad
wafa murawwat KHulus-o-isar mehr-o-ulfat
aur is tarah ki bahut si chizen sameTne main kai zamane bita chuka hun
Nazm
Ek KHayal ki rau mein
Mohammad Ahmad